Kuchh nahin is ke sivaa ‘Josh’ hariifon ka kalaam
vasl Ne Shaad kiya hijr ne Naashaad kiyaa…
( Josh Malih Abadi )
Chaand Suraj Ya Sitaray Nahi Lenay Mujh Ko
Ab Koi Khwab Udharay Nahi Lenay Mujh Ko
Aap Ki Deed Bas Aankhon Ko Ataa Ho Jaye
Sari Dunia Ke Nazaray Nahi Lenay Mujh Ko
Jo Bachi Hai Wohi Raakh Hee Kafi Hai Mujhy
Jalti Yadon Ke Shararay Nahi Lenay Mujh Ko
Hashr Tak Aap Ke Daman Se Rahun Wabasta
Dunia Walon Ke Saharay Nahi Lenay Mujh Ko
Main Lutaun Ka Tujhay Tere Sitam Sood Samait
Ab Muhabbat Ke Khasaray Nahi Lenay Mujh Ko
Na-Khuda Ki Kbhi Minnat Na Karun Ga AHMAD
Bheek Me Hargiz Bhi Kinaray Nahi Lenay Mujh Ko
( A Ghazal by Ahmed Shakil )
Us shaam vo ruKhsat kaa samaa.N yaad rahegaa
Vo shahar vo kuuchaa vo makaa.N yaad rahegaa
Vo Tiis ki ubharii thii idhar yaad rahegii
Vo dard ke uThaa thaa yahaa.N yaad rahegaa
Ham shauq ke shole kii lapak bhuul jaaye.nge
Vo shamaa-e-fasurdaa kaa dhuaa.N yaad rahegaa
Kuchh miir ke abyaat the kuchh faiz ke misare
Ik dard kaa thaa jin me.n bayaa.N yaad rahegaa
Jaa.N baKhsh sii thii us gul_barg kii taraavaat
Vo lams-e-aziiz-e-do-jahaa.N yaad rahegaa
Ham bhuul sake hai.n na tujhe bhuul sake.nge
Tuu yaad rahegaa hame.n haa.N yaad rahegaa
( By Ibn-e-Insha )
Zinda Rahain tou Kiya Hay Jo Mar Jain Hum to Kiya
Dunya say Khaamshi say Guzar Jaain Hum to Kiya
Husti Hi apni Kiya Hay Zamaaanay kay saamnay
Ik Khawab hain Jahan Main Bikhar Jain Hum to Kiya
Ab Kon Muntazar Hay Hamaaray Liyaey Wahaan
Shaam Aa Gai hay Lot Kay Ghar Jayean Hum to Kiya
Dil ki Khalish to saath rahay Gi Tamaaam Umr
Daryaa-e-Gham kay Paar Utar Jayean Hum to Kiya
( By Munir Niyazi منير نيازی )
https://www.youtube.com/watch?v=Nk8gJXXkBps
Raah Chaltay Howay woh Yunhi dobara Mil Ja-eay
Shaam ko jaisay koi subh ka taara Mil Ja-eay
Naao ban ja-eay koi shor machati hoi lehar
Kia khabar dobanay walon ko kinara mil ja-eay
Aur phir aisa muqadar bhi kahan hai apna
keh Diya dhondhnay niklain to Sitara Mil Ja-eay
Kis kadar roshni hoti thi meri aankhon main
Kaash woh khoya huwa khwab dobara mil ja-eay
Dhondhnay wala koi ho to bohat mumkin hai
Iss kharabay main koi naqsh hamara mil jaeay
( By Naveed Raza )