A Poem on Pakistan’s Current Situations
Bikhar ja aingey hum kya jab tamsha khatm hoga
Meray ma’bud aakhir kab tamasha khatm hoga
Kahani a’ap uljhi hey keh uljhaee gaee hey
Yeh uqda tab khulayga jab tamasha khatm hoga
Nai kirdar a’atey ja rahai hain roshni main
Nahin ma’loom ab kis dhab tamasha khatm hoga
Chiraghey hujra’ai darwesh ki bujhti hui lau
Hawa sai keh gaee hai ab tamasha khatm hoga
Yeh sab kathputlian raqsaan rahaingi ra’at ki ra’at
Sehr sai pehlai pehlai sab tamasha khatm hoga
Tamasha karney walon ko khabar di ja chuki hai
Keh parda kab giray ga kab tamasha khatm hoga
Dil-i-na mutma’in aisa bhi kiya mayoos hona
Jo khalq utthi to sab kartab, tamasha khatm hoga